Episodes

  • Ek Andha Safar Hai Ye
    Dec 31 2024
    Ye ek naya stanza kaha tha maine aur priya ne apni aawaaz mein piro diya . Aaj is saal ka aakhiri din hai .. aur ye kitna munaasib hai ye kehna aur mehsoos karna ki YE EK ANDHA SAFAR HI TOH HAI .. Har roz ek bujhte din ko apne badan se utaar kar rakhte jaate hain .. EK ANDHA SAFAR HAI YE KABHI RAAT TOH HONI HAI YE KHEL HAI SAANSON KA YAHAAN MAAT TOH HONI HAI YE JISM KI MITTI BHI EK DIN BIK JAANI HAI ZINDAGI AUR KUCHH BHI NAHIN TERI MERI KAHAANI HAI EK PYAAR KA NAGHMA HAI aawaaz : Priya kashyap bol : Soz Shukriya .
    Show more Show less
    3 mins
  • Yun na mil mujhse khafa ho jaise - Ehsaan Daanish
    Nov 8 2024
    Aadaab Aaj subah phone scroll karte waqt Ehsaan Danish ki ye ek ghazal mili . Dafatan usko record bhi kar liya .. Yun hi ek random se recitation ki tarah Phir khayaal aaya ki bohot waqt hua Spotify par kuchh upload kiye Aur mujh ko hamesha yahi mehsoos hota raha hai Ki recitations jo yun hi kiye jaate hain Woh dar asal sabse behtar hote hain Khair Meri balcony mein Lily ka ek paudha hai Jis par ek naya phool aaya hai Ilias Babar Aawan ka ek sher yaad aa gaya : Phool kitaabein le jaa tanha rehne de Mera kamra , mera kamra rehne de Bohot ishq Soz
    Show more Show less
    2 mins
  • Stand with RG Kar
    Oct 3 2024
    Ye nazm takreeban ek maheene pehle Kalimpong ki waadiyon mein record ki thi . Kaifi Azmi ki ye nazm duniya ki har ek Abhya ko dedicated hai . UTH MERI JAAN MERE SAATH HI CHALNA HAI TUJHE ishq soz
    Show more Show less
    4 mins
  • Ye pichhle ishq ki baatein hain - Mohsin Naqvi
    Jun 27 2024
    Mohsin Naqvi deewaano ke shaair hain .. Unki shaayari kisi khushbu ki tarah hai jo gaayab hone ke baad bhi maheeno yaad rehti hai .. Bahar-haal Yaaqoot ek mehenge patthar ko kehte hain . Apna khayaal rakhiye Ishq Soz --- Send in a voice message: https://podcasters.spotify.com/pod/show/lafz--soz/message
    Show more Show less
    4 mins
  • Kahaan aa ke rukne the raaste , kahaan mod tha usey bhool jaa - Amjad Islam Amjad
    Apr 29 2024
    Amjad saahab ki ye ek badi hi iconic ghazal hai . Woh saare log , jo kisi rishte se baahar toh aa gaye hain .. par mentally ab talak usi rishte ko jiye jaa rahe hain . Bus ki saans liye jaa rahe hain .. aur Gulzar ka ye sher padh rahe hain : Din kuchh aise guzaarta hai koi Jaise ehsaan utaarta hai koi Un saare logon ko amjad saahab ki ye ghazal intesaab karta hun . Iske har ek ashaar mein ummeed hai .Bohot zyaada ummeed . Background mein hum sabki favorite Debasmita faiz ko gunguna rahi hai . Suniye aur achchhi shaayari padhte rahiye Ishq Soz --- Send in a voice message: https://podcasters.spotify.com/pod/show/lafz--soz/message
    Show more Show less
    4 mins
  • Bhali si ek shakl thi - Ahmed Faraz
    Mar 31 2024
    Ahmed Faraz ke liye Gulzar ne ek nazm mein likha tha : Sookh gaye hain phool kitaabo'n mein Yaar 'Faraaz' bhi bhichhad gaye hain Shaayad mile'n woh khwaabo'n mein ! Ye ek nazm Ahmed Faraz ki .. jis mein ladka ek relationship chaahta hai .. par ladki ko relationship bojh lagti hai . Kitni relevant hai ye nazm .. aur shaayad har ek daur mein rahegi .. kyunki har daur mein human emotions itne hi relevant rahenge .. Happy listening Soz :) --- Send in a voice message: https://podcasters.spotify.com/pod/show/lafz--soz/message
    Show more Show less
    5 mins
  • In conversation with Ghalib
    Mar 17 2024
    Ibn e mariyam hua kare koi Mere dukh ki dawa kare koi Talking to Ghalib is like talking to your best friend . You can share all your secrets . Chacha Ghalib as he is known . He has a beautiful sher for every moment of life . I've been reading him since childhood . And I wanted to do something serious which i can dedicate to him . Will always be grateful to Debasmita , whom I call my Beghum Akhtar . Hai yahi rasm zindagi ki yahaan Roz thoda mara kare koi Shukriya Debasmita and Soz .
    Show more Show less
    8 mins
  • Tanvir Monis - Jaan majboor hoon
    Mar 2 2024
    Ek nazm mein kitne saare lamhe lipte hote hain . Kabhi kholo toh gulaab ke sookhe hue phoolon ki khushboo aati hai . Is ek nazm mein bhi waisi hi khushboo hai .. Jaan nisaar akhtar ka ek sher hai : Hum se maayus nah ho aye shab e dauraa'n ki abhi Dil mein kuchh dard chamakte hain ujaalon ki tarah Happy listening Soz .
    Show more Show less
    3 mins