Preview

Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.

EK THI DEVI

By: Hoop Entertainment, Rajnish Rao, Vivek Rao
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • Hoop Entertainment prastut karte hai, Ek Thi Devi, ek Audible Original peshkash

    SARAANSH

    Ye vyatha hai society aur law and order ki upeksha ka dansh jhelte huye outlaw banane ki us ladki ki kahani jise Devi ke naam se sambodhit karke isi samaaj ne apni zimmedariyon se palla jhaad liya. Ashikshit aur upekshit bachpan aur phir lagaataar shoshit hoti Devi ne pahle to nyaay ke thekedaaron se insaaf ki guhaar lagayi phir khud hi bandook uthhane ko mazboor ho gayi. Pahle to use naxali aur dacait kaha gaya phir uski female empowerment ki disha mein badhaye kadam ki sarahana ki gayi. Zordar taaliyon se uska swaagat kar sammanit bhi kiya gaya aur phir din dahaade uspar goliyan barsa di gayin lekin Devi ka naamo nishaan nahin mita sake wo log jo uske khilaf the. Jisne andhe yug ke jangal raaj mein apni aawaz buland ki wo ....... Ek thi Devi.

    ASVIKARAN

    Ye ek kaalpnik kriti hai. Aur iske vaastvik vyaktiyon, vyavasayon, sthano, ya ghatnaon ke sath koi bhi samaanta akasmik hai.

    Is show me pradarshit tathyon ko kisi bhi dharmik granth, dharm, lokkatha, kahani, ya katha ka satwik ya sachcha niroopan Nahi samjha jana chahiye.

    Show me pradarshit dharmik granth, dharm ya kahani ke liye vyakt kiye gaye vichar aur prastutikaran lekhak ke hain, aur Audible ke nahi.

    Ye show kisi vyakti sanstha, jati, samuday, nasl ya dharm ko apmanit ya badnaam karna ya kisi sanstha ya vyakti jeevit ya mrit ko neecha dikhane ke irade se nahi hai.

    Aur ya kisi bhi vyakti sanstha, varg ya samuday ke kisi dharmik dhaarnao, maanytaon ya bhawnaon ko apmanit ya apmaan karne ka irada nahi rakhta hai.

    Shrota ko vivek se Faisla lene ki Salah di jati hai.

    Production House

    Hoop Entertainment

    Producer

    Nikhil Mirchandani & Preeti Mirchandani

    Writer & Director

    Rajnish Rao & Vivek Rao

    Creative Consultant

    Roma Dutia

    Director's Assistant

    Laxmikant Mishra

    Executive Producer

    Aishwarya Shukla

    Post Production Head

    Rajnish Rao

    Music, Bgm & Sound Designing

    Ricky Tehra

    Final Mixing

    Jayendra Tomar

    Post

    Weather Films Studio

    Cast List

    Pooja Kaithwas

    Rajesh Gupta

    Komal Vishwakarma

    Harshita Singh

    Zara Warsi

    Nysha

    Kanchan Mishra

    Rishi Dadhichi

    Prateesh Kumar Yadav

    Pradeep Jangid

    ©2022 Hoop Entertainment PVT LTD (P)2022 Hoop Entertainment PVT LTD
    Show more Show less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • Episode 1: Ant Se Shuruwaat
    Nov 14 2022
    Interview ke bahaane se devi ki hatya ho jati hai. Phir ek news channel Devi ke jiwan par ek documentary plan karti hai jisko banane ki jimmedari news ki duniya mein ubharti anchor Disha ko milti hai. Disha apni shadi chhod apne mangater ki madad se bahut dhundhne par Devi ke bachpan ki dost Parbati ka pata laga leti hai. Unse milne par wo Devi ki bachpann se hi gaon ke chacha Bishnu se jamin vivaad ka pata chalta hai jismein uska sar phuta tha aur ye bhi pata lagta hai ki Devi ka bachpann me hi vivaah tay kar diya gaya tha jo Disha ko jhakjhoor ke rakh deta hai.
    Show more Show less
    21 mins
  • Episode 2: Baal Vivaah
    Nov 14 2022
    Parbati disha ko Devi ke bachpan ki baatein batati hai. Dono ne kis tarah bachpan saath me bitaya, kya-kya khel khelein. Kaise bahadur Devi ne Parbati ki jaan magarmachchh se bachayi thi. Phir Devi bhi apni shaadi ko lekar pareshan rehti hai. Uski shaadi apne se kai guna bade aadmi se hoti hai aur sasural jaane par pati Mohna ke atyaachar se tang aakar Devi antatah ek din wahan se bhag jati hai..
    Show more Show less
    20 mins
  • Episode 3: Sangharsh
    Nov 14 2022
    Devi bhagkar apne maayke aa jati hai, par Parbati aur maai use samjha kar vapas uske sasural bhej dete hain. Phir gaon ke Bishun chacha aur Ramswaroop Devi ki zameen beimaani se hadap lete hain. Dusri or Devi phir bhagkar aa jati hai. Barson sehne ke baad krodhit Devi aag babula hokar apne chacha ka sar phod deti hai, jiske zurm mein use thane me band kar diya jata hai, police thane mein Devi mahino sataayi jaati hai.
    Show more Show less
    22 mins

What listeners say about EK THI DEVI

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.